Zulm Ki Nagri Mein Lyrics

"Zulm Ki Nagri Mein" lyrics from Aas sung by lata mangeshkar and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Singer(s):
Lyricist(s):

Zulm Ki Nagri Mein Lyrics

Kya ye duniyaa hai yahaan kar ke bhalaai dekh li
Soch naa sakate the jo wo bhi buraai dekh li

Zulm ki nagri mein kisi ka kaun sahara hai

Sab to paraye hai jahan mein kaun hamara hai

O o paapi ko aaraam jagat me paapi ko aaraam
O o pun waale badanam jagat me pun waale badanam

Dekh liya sansaar yahan ka khel hi nyara hai
Dekh liya sansaar yahan ka khel hi nyara hai

Zulm ki nagri mein kisi ka kaun sahara hai
Zulm ki nagri mein kisi ka kaun sahara hai

O o chhinaa mera laal jagat ne chhinaa mera laal
O o mamata hai behaal yahan par mamata hai behaal

Mujhase huaa hai dur jo meri aankh ka tara hai
Mujhase huaa hai dur jo meri aankh ka tara hai

Zulm ki nagri mein kisi ka kaun sahara hai
Zulm ki nagri mein kisi ka kaun sahara hai

O o anyaayi ki jit yaha par anyaayi ki jeet
O o roti sachchi prit yahan par roti sachchi preet

Sunate ho bhagawaan yahi insaaf tumhara hai
Sunate ho bhagawaan yahi insaaf tumhara hai

Zulm ki nagri mein kisi ka kaun sahara hai
Sab to paraye hai jahan mein kaun hamara hai
Zulm ki nagri mein kisi kaa kaun sahara hai.

More songs lyrics from Aas.