Zindagi Tu Hi Bata Lyrics

"Zindagi Tu Hi Bata" lyrics from Mirch sung by kunal ganjawala, sharmishtha, vaishali samant and music directed by monty sharma and composed by monty sharma and lyrics written by javed akhtar

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Zindagi Tu Hi Bata Lyrics


Zindagi zindagi tu bata mujhe nahin hai jo pata
Zindagi zindagi tu bata hai kaunsa wo rasta,
Jaata jo wahan hai mujhe jana jahan hai
Tu bata hai kaun sa wo raasta

Mujhe le ke jaaye jo us nagar
Jahan jaise chahoon main reh sakuin
Jahan dil ki baatein main sun sakuin
Jahan dil ki baatein main keh sakuin
Jahan apni sharton pe main jiyoon
Mujhe us nagar hai jana tu bata
Hai kaun sa wo rasta.

Jahan ab kahin main har ek baat kar luin
Jahan phir main khud se mulaqat kar luin
Jahan zindagi main tere geet gaaun
Jahan khwaab dekhuin to na chupaun
Mujhe bata hai kaunsa wo rasta

Tumhe gar hai jaana, ek aise nagar ho
Jahan sapna dekho to sapna sach ho
Jo tum chalte jaao to rasta yahi hai
Magar yaad rakhna rukna nahi hai
Ki tum hi to banaoge wo raasta.

More songs lyrics from Mirch.