Zindagi (Title) Lyrics

"Zindagi (Title)" lyrics from Zindagi sung by shehzad roy

Singer(s):

Zindagi (Title) Lyrics


Ankhon main lakhon hain sapne dosto
Khare jeewan ki rahon main woh
Chehron pe kal ki hai koi aarzo
Na hi aaj ki hai justajoo

Phoolon jaise phool hain
Yeh bhi khilna chahtay hain
Zindagi hai zindagi ko
Yeh bhi jeena chahtay hain
De dain inhain zindagi
Aao de dain inhein zindagi

Zindagi aas ban jaye
Pyaar ki pyaas ban jaye
Zindagi aas ban jaye
Pyaar ki pyaas ban jaye
Yeh dua mangein rab se
Gham khuhi baantein sab se
Ab zindagi dukh dard ka ehsaas ban jaye

Dhoop main jalti umangon ka dhuan
Kahe meri kahani suno
Main ik sapna hoon, ammi jaan ka
Jaane sach ho kabhi ya na hoon

Main na janoon ilm kya hai
Ujlay pan ka raaz kya hia
Kis pe jhoomon, kis pe nachoon
Chain ka woh saaz kya hia
Meray liye zindagi
Kya hai mere liye zindagi

Zindagi aas ban jaye
Pyaar ki pyaas ban jaye
Zindagi aas ban jaye
Pyaar ki pyaas ban jaye
Yeh dua maangein rab se
Gham khushi bantein sab se
Ab zindagi dukh dard ka ehsaas ban jaye.

More songs lyrics from Zindagi.