Yeh Umar Yeh Mizaaj Lyrics

"Yeh Umar Yeh Mizaaj" lyrics from Zulm Ka Badla sung by mahendra kapoor, parveen saba and music directed by master sonik, om prakash sonik and composed by master sonik, om prakash sonik and lyrics written by kulwant jani

Lyricist(s):
Music Director(s):

Yeh Umar Yeh Mizaaj Lyrics


Yeh umar yeh mizaaj
Khuda khair kare
Yeh umar yeh mizaaj
Khuda khair kare
Yeh umar yeh mizaaj
Khuda khair kare
Kiska hai qatl aaj
Khuda khair kare
Kiska hai qatl aaj
Khuda khair kare
Yeh umar yeh mizaaj
Khuda khair kare

Tune is dil pe aisa vaar kiya
Teri chahat ne bekrar kiya
Dhundhate dhundhte thikane par
Aa gaye hum sahi nishani par
Waqt ka aaj tu sikandar hain
Ek toofan mere andar hain
Mauj ko mauj se takrana hain
Aag ko aag se bujana hain
Tere liye hamne
Mere banke sitam ghar
Chhodi hai sharam laaj
Khuda khair kare
Chhodi hain sharam laaj
Khuda khair kare
Chhodi hai sharam laaj
Khuda khair kare
Kiska hai qatl aaj
Khuda khair kare
Kiska hain qatl aaj
Khuda khair kare
Khair kare khair kare
Khair kare khair kare
Yeh umar yeh mizaaj
Khuda khair kare

Abhi tak hasino jawan hain wo galiya
Jaha hamne apni jawani luta di
Mohabbat mein lut
Jate hain deen iman
Bada teer mara jawani luta di
Yeh nazar yeh mizaaj
Khuda khair kare
Yeh nazar yeh mizaaj
Khuda khair kare
Hum pe hi chot aaj
Khuda khair kare
Hum pe hi chot aaj
Khuda khair kare

Yeh nahin chot yeh hakikat hain
Hamko sach bolne ki aadat hain
Naam badla hai desh badla hain
Teri khatir yeh bhesh badla hain
Aa gaye aaj teri mehfil mein
Le ke jajbaat yeh apne dil mein
Sar tera aaj to jhukana hain
Yeh tamasha tujhe dikhana hain
Kon kisko jhukaye dekhenge
Teri julfo ke saye dekhenge
Yeh badan kanch ka bilori hain
Ek resham ki kachi dori hain
Isko ek baar jab bhi pakdenge
Apni baho mein kash ke jakdenge
Yeh chalan tera chhut jayega
Har bharam tera tut jayega

Hamko jhukane wale
Tujhe yeh khabar bhi hai
Kanto ka hain yeh taj
Khuda khair kare
Kanto ka hain yeh taj
Khuda khair kare
Kanto ka hain yeh taj
Khuda khair kare
Kiska hain qatl aaj
Khuda khair kare
Kiska hain qatl aaj
Khuda khair kare
Yeh umar yeh mizaaj
Khuda khair kare

Kaise maidan mein tu aayegi
Bol kis tarah aajmayegi
Faize ijhar mein kya rakha hain
Chhod takrar mein kya rakha hain
Phir bata aage kya irada hain
Pura hoga yeh apna wada hain
Pyar ki dil mein pyas rakhta hain
To us se milne ki aas rakhta hain
Tune is dil ki baat kah di hain
Apne hotho ke saaj kehti hain
Raat ko aankh khuli fijao mein
Chand ki thandi thandi chanv mein
Un fijao mein bol kya hoga
Un hawao mein bol kya hoga
Apni baho ka sahara dungi
Tujhko jannat ka ishara dungi
Hum hain wo masiha
Tere har ek rog ka
Kar denge ab ilaj
Khuda khar kare
Kar denge ab ilaj
Khuda khar kare
Kar denge ab ilaj
Khuda khar kare.

More songs lyrics from Zulm Ka Badla.