Yeh Raah Badi Lyrics

"Yeh Raah Badi" lyrics from Gateway Of India sung by geeta ghosh roy chowdhuri (geeta dutt) and music directed by madan mohan kohli and composed by madan mohan kohli and lyrics written by rajendra krishan

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Yeh Raah Badi Lyrics


Ye raah badi mushqil hai
Anjaan abhi tera dil hai
Soorat pe na jaa
Baaton mein na aa
Har cheez yaha qaatil hai
Ye raah badi mushqil hai
Anjaan abhi tera dil hai

Kaagaz ke phool mein khushbu
Kyun dhoondh raha nadaan tu
Kaagaz ke phool mein khushbu
Kyun dhoondh raha nadaan tu

Yaha rang ka jaal bichhaye
Baithe hain lutere har su
Yaha rang ka jaal bichhaye
Baithe hain lutere har su

Yaha dil na lagaa
Daaman ko bachha
Ye daghaabaaz mahfil hai
Ye raah badi mushqil hai
Anjaan abhi tera dil hai

Sahraati chamakti reti
Paani ka hai jhoka deti
Sahraati chamakti reti
Paani ka hai jhoka deti

Masoom nazar kya jaane
Ye sholon ki hai kheti
Masoom nazar kya jaane
Ye sholon ki hai kheti
Mat pyaas bujha
Dhokhe mein naa aa
Ye badi tedhi manzil hai

Ye raah badi mushqil hai
Anjaan abhi tera dil hai
Soorat pe na jaa
Baaton mein na aa
Har cheez yaha qaatil hai
Ye raah badi mushqil hai
Anjaan abhi tera dil hai.

More songs lyrics from Gateway Of India.