Yeh Humari Tumhari Lyrics

"Yeh Humari Tumhari" lyrics from Ek Chitthi Pyar Bhari sung by asha bhosle and music directed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and composed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai), verma malik

Singer(s):

Yeh Humari Tumhari Lyrics


Yeh humari tumhari kahani
Is kahani mein raja na rani
Ek maa ek thi gudiya rani
Yeh humari tumhari kahani
Yeh humari tumhari kahani
Is kahani mein raja na rani

Tere jaisi hi gudiya pyari thi wo
Ghar ki ronak maa ki dulari thi wo
Maa se jab bhi kabhi dur hoti thi wo
Ghar mein rah ke akeli na roti thi wo
Yeh sach hai aunty ha acha

Jitni chhoti thi utani sayani thi wo
Itni masum har dil ki bani thi wo
Yu to thi bas papa ki bas ek kami
Aankh sukhi thi uski thi dil mein nami
Apne papa ki thi deewani deewani
Apne papa ki thi deewani
Iss kahani me raja na rani
Yeh humari tumhari kahani
Is kahani mein raja na rani

Uske papa kaha the
Bahut dur bhgwan ke ghar
Pahuche bhagwan ke
Ghar kaha jode hum
Mere papa ko ghar
Bejh do mere sang
Meri gudiya khilone
Sab le lo tum
Unke badale mein
Papa mujhe de do tum
Sun ke bhagwan
Bole bade dekh ke sath
Munni bas mein nahi
Mere ab to ye baat
Honi ho ke rahe
Na tale koi baat
Honi ho ke rahe
Na tale koi baat
Papa mil na sake
Maa ki bhi chhuta sath
Yeh aduri rah gayi kahani
Yeh aduri rah gayi kahani
Yeh humari tumhari kahani
Is kahani mein raja na rani.

More songs lyrics from Ek Chitthi Pyar Bhari.