Yeh Hai Meri Daastan Lyrics
"Yeh Hai Meri Daastan" lyrics from Jimmy sung by vijay verma and music directed by vijay verma and composed by vijay verma and lyrics written by ranbir pushp
Yeh Hai Meri Daastan Lyrics
Yeh meri hai daastaan, sunake roya aasmaan
Jindagi ne ki bewafaayi, saanse apni huyi paraayi
Har rishta huwa fanaa
Yeh meri hai daastaan, sunake roya aasmaan
Yeh meri hai daastaan, sunake roya aasmaan
Jindagi ne ki bewafaayi, saanse apni huyi paraayi
Har rishta huwa fanaa, yeh meri hai daastaan
Apno se milane ko dil tarase, suraj ki aankho se aansu barse
Chaand bhi roye raat raat bhar, taare kare ?? Jaagkar
Kaisa aaya yeh sama, yeh meri hai daastaan
Hey hey hey hey hey aa ha
Hey hey hey hey hey aa ha
Na teri khata hai na meri khata, kismat ne di hai hamko saja
Lautkar na aayunga abb kabhi, saare dhundenge kadmo ke nishaan
Rahe aabaad yeh tera jahaan, yeh meri hai daastaan
Jindagi ne ki bewafaayi, saanse apni huyi paraayi
Har rishta huwa fanaa, yeh meri hai daastaan.
More songs lyrics from Jimmy.