Yeh Ghadi Hai Imtihan Ki Lyrics

"Yeh Ghadi Hai Imtihan Ki" lyrics from Tejasvini sung by roop kumar rathod and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by rajesh malik

Singer(s):
Lyricist(s):

Yeh Ghadi Hai Imtihan Ki Lyrics


Sangraam sangraam jeevan sangraam
Tujhko jeetna hai ye sangraam
Tujhe chalna hai tujhe badhna hai
Tujhe ladna hai

Yeh ghadi hai imtihan ki
Laga tu baazi jaan ki
Aaj nahi toh kal milta hai
Har mushkil hai hal milta hai
Jab tere dam hai dam
Koshish karna tera dharam
Sangraam sangraam jeevan sangraam
Tujhko jeetna hai ye sangraam

Aansu se moti chunle
Zakhmo ke tu rang rangle
Aansu se moti chunle
Zakhmo ke tu rang rangle
Lahoon se tu shringaar ka
Dukhiyon ka uddhar kar
Lohe ki tarha tapna hai tujhe
Aur faulaad hi banna hai
Sangraam sangraam jeevan sangraam
Tujhko jeetna hai ye sangraam

Pruthvi jab nabh vaayu agni
Tujhe pukaare tejasvini
Tujhe bulaaye tujhe jagaaye
Anhoni ko kar honi
Laksh ko apne saadh kar
Saahash ko tu baadh kar
Paar kar prahaar kar
Shatru ka tu sanhaar kar
Kaayam ho jaaye woh ek misaal
Woh kaam tujhe karna hai
Bharat ki har beti kahe
Mujhe tejasvini ban na hai

Tejasvini tejasvini
Sangraam sangraam jeevan sangraam
Tujhko jeetna hai ye sangraam

Yeh ghadi hai imtihan ki
Laga tu baazi jaan ki
Aaj nahi toh kal milta hai
Har mushkil hai hal milta hai
Jab tere dam hai dam
Koshish karna tera dharam
Sangraam sangraam jeevan sangraam
Tujhko jeetna hai ye sangraam.

More songs lyrics from Tejasvini.