Ye Hasin Jawan Nazare Lyrics

"Ye Hasin Jawan Nazare" lyrics from Shafaq sung by ahmed hussain, mohammed hussain and music directed by ahmed hussain, mohammed hussain and composed by ahmed hussain, mohammed hussain and lyrics written by hasrat jaipuri

Lyricist(s):
Music Director(s):

Ye Hasin Jawan Nazare Lyrics


Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
O door jaanewaale
Mera pyaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
O door jaanewaale
Mera pyaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare

Tujhe raah chalte chalte
Koi ajnabi mile jab
Teri sooni zindagi mein
Koi phool sa khile jab
Meri zindagi ki pehale
Ye bahaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare

Mere shayari ke pankho
Parwaaz tu nahi hain
Mere saaze dil ko dilkash
Aawaz tune di hain
Tere dam se main bana hoon
Fankaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare

Dhadkan mein teri ley hain
Saanso mein teri sargam
Mere humsafar labo par
Hain naam tera hardum
Tu hain meri khushi ka
Sansaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
Ye hasin jawan nazare
Ye bahaar yaad rakhana
O door jaanewaale
Mera pyaar yaad rakhana.

More songs lyrics from Shafaq.