Yahi To Hai Sansar Hamara Lyrics

"Yahi To Hai Sansar Hamara" lyrics from Dost sung by amit kumar, asha bhosle, jayshree shivram and music directed by rahul dev burman and composed by rahul dev burman and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)

Music Director(s):
Composer(s):

Yahi To Hai Sansar Hamara Lyrics


Chhota sa pariwar hamara
Yahi to hai sansar hamara
Kami koi mahsus na hogi
Kami koi mahsus na hogi
Saath hai tere pyar hamara
Chhota sa pariwar hamara
Yahi to hai sansar hamara

Sita tu muskati rahna
Sukh achal mein simat ayenge
Saath suhagan nahi to kya hain
Saath suhagan nahi to kya hain
God bharayi hum gayenge
Chhota sa pariwar hamara
Yahi to hai sansar hamara

Gaj raja tera bhai bada
Raksha ko tere pas khada
Gaj raja tera bhai bada
Raksha ko tere pas khada
Is tote ka kya kahna
Jaise mith boli bahna

Hanumanta hai sewak
Sanjiwni bhi lade jo
Hanumanta hai sewak
Sanjiwni bhi lade jo

Pahli pahli ye najuk bela
Sambhalegi tujhe ban mata
Pahli pahli ye najuk bela
Sambhalegi tujhe ban mata
Apnapan adar hamdardi
Mamta bhara guljar hamara
Chota sa pariwar hamara
Yahi to hai sansar hamara

Ram mile to phir kyu sita
Karne lagi mayke ki chinta
Pyar jo do se teen bana hain
Pyar jo do se teen bana hain
Jeevan aba rangin bana hain
Chota sa pariwar hamara
Yahi to hai sansar hamara

Hathi ki bhi hain pathshala
Khelo mein sabak sikha dala
Hathi ki bhi hain pathshala
Khelo mein sabak sikha dala
Jhil aur jharne gate hain
Sher bhi hath milate hain

Sadiyo tak rahe pyar amar
Bandhi ayodhya se badkar
Sadiyo tak rahe pyar amar
Bandhi ayodhya se badkar
Ho rajkumar hain ankho ka tara
Suraj jaisa deep hamara
Mat pita bhagwan hamare
Banta har ik prani pyara
Chhota sa pariwar hamara
Yahi to hain sansar hamara
Chota sa pariwar hamara
Yahi to hain sansar hamara
Kami koi mahsus na hogi
Kami koi mahsus na hogi
Saath hai tere pariwar hamara
Chota sa pariwar hamara
Yahi to hain sansar hamara
Chhota sa pariwar hamara
Yahi to hain sansar hamara.

More songs lyrics from Dost.