Yaad Teri Zindagi Lyrics

"Yaad Teri Zindagi" lyrics from Laila Majnu sung by asha bhosle and music directed by ghulam mohammad and composed by ghulam mohammad and lyrics written by shakeel badayuni

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Yaad Teri Zindagi Lyrics


Main teri shama hoon
Ae kaisa tu parwaana hai
Tujhko deewaana jo kehta hai
Wo deewaanaa hai

Yaad teri zindagi ka
Yaad teri zindagi ka
Saaz ban kar reh gayi
Saaz ban kar reh gayi
Yaad teri zindagi ka
Dil ki har dhadkan teri
Dil ki har dhadkan teri
Aawaaz ban kar reh gayi
Saaz ban kar reh gayi
Yaad teri zindagi ka

Tu udhar naashaad hai aur
Main tadapti hoon idhar
Tu udhar naashaad hai aur
Main tadapti hoon idhar
Ho sake ab tak na duniya
Kya haki kat ki khabar
Naam paakar bhi muhabbat
Raaz ban kar reh gayi
Saaz ban kar reh gayi
Yaad teri zindagi ka

Kyun bhalaa dhadke mera dil
Ishq ke anjaam se
Kyun bhalaa dhadke mera dil
Ishq ke anjaam se
Yaad karta hai zamaana
Mujhko tere naam se
Har adaa meri tera
Andaaz ban kar reh gayi
Saaz ban kar reh gayi
Yaad teri zindagi ka
Saaz bankar reh gayi
Saaz bankar reh gayi
Yaad teri zindagi ka.

More songs lyrics from Laila Majnu.