Woh Meri Taraf Yun Chale Lyrics

"Woh Meri Taraf Yun Chale" lyrics from Kafila sung by kishore kumar and music directed by bhagatram batish, husnlal batish and composed by bhagatram batish, husnlal batish and lyrics written by brajendra gaud

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Woh Meri Taraf Yun Chale Lyrics


Woh meri taraf yun chale aa rahe hain
Woh meri taraf yun chale aa rahen hain
Ki armaan dhadkan se takra rahen hain
Woh meri taraf yun

Unhen dekhne ko uthee meri nazaren
Unhen dekhne ko uthee meri nazaren
Mujhe dekhte hi jhuki unki palken
Na jaane woh kyun ham se
Sharmaa rahen hain
Na jaane woh kyun ham se
Sharmaa rahen hain
Ki armaan dhadkan se takara rahen hain
Woh meri taraf yun

Jo kaliyaan khili hain to gul bhi khilenge
Jo kaliyaan khili hain to gul bhi khilenge
Nigaayen mili hain to dil bhi milenge
Ki saanson mein paigaam aa jaa rahen hain
Ki saanson mein paigaam aa jaa rahen hain
Ki armaan dhadkan se takra rahen hain
Woh meri taraf yun

Unhen dekh kar dil lagaa rang laane
Unhen dekh kar dil lagaa rang laane
Hai dil kya kaheen baat maane na maane
Ki ham dil ki harkat se ghabraa rahen hain
Ki ham dil ki harkat se ghabraa rahen hain
Ki armaan dhadkan se takra rahen hain
Woh meri taraf yun chale aa rahen hain
Woh meri taraf yun chale aa rahen hain
Ki armaan dhadkan se takra rahen hain
Woh meri taraf yun.

More songs lyrics from Kafila.