Wo Meri Jasoda Maiya Lyrics

"Wo Meri Jasoda Maiya" lyrics from Beta Ho To Aisa sung by mohammed aziz and music directed by ravindra jain and composed by ravindra jain and lyrics written by ravindra jain

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Wo Meri Jasoda Maiya Lyrics


Wo meri jasoda maiya uska mai govinda
Wo meri jasoda maiya uska mai govinda
Ma hai jab tak jag me tab tak
Ma hai jab tak jag me tab tak
Mamta ki misaal hai zinda
Wo meri jasoda maiya uska mai govinda

Ek mehbuba ne dilbar se
Uski ma ka dil mangvaya
Wo ishq me andha doda doda
Apni ma ke pas aaya
Vahshi ne ma par waar kiya
Khanjar sine ke par kiya
Zakhmi dil lekar bhag chala
Thokar khayi dharti pe gira
Tab ma ke dil se aayi sada

Tujhe chot kahi aayi to nahi
Tujhe chot kahi aayi to nahi
Dhire chalna aainda
Wo meri jasoda maiya uska mai govinda

Ek sachi ma ek jhuti ma
Ek bache ka jhagda lekar
Insaaf mangne ki khatir
Ja pahunchi hakim ke dar par

Ek boli mera bacha hai
Ek boli mera bacha hai
Hakim sunkar hairan hua
Aakhir ye kiska bacha hai

Hakim ne baat pe gor kiya
Aur jalado ko hukam diya
Sar ko tan se nyara kar do
Bache ka bantwara kar do
Tab sachi ma boli thaharo
Aisa na karo aisa na karo

Maine apna hak chhod diya
Maine apna hak chhod diya
Par lal rahe mera zinda
Wo meri jasoda maiya uska mai govinda
Wo meri jasoda maiya uska mai govinda
Ma hai jab tak jag me tab tak
Ma hai jab tak jag me tab tak
Mamta ki misal hai zinda
Wo meri jasoda maiya uska mai govinda.

More songs lyrics from Beta Ho To Aisa.