Wo Aayenge Khushi Ban Kar Lyrics

"Wo Aayenge Khushi Ban Kar" lyrics from Aurat sung by lata mangeshkar and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Singer(s):
Lyricist(s):

Wo Aayenge Khushi Ban Kar Lyrics


Aaj ki raat kabhi khatam na hone aaye
Roz hoti hai subah aaj na hone paaye

Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge

Maza is intizaari ka
Koyi poochhe mere dil se
Tamanna jhoom kar kehti
Hai hardam dil ki mehfil se
Yeh har dam dil ki mehfil se
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge

Mere armaan itraa kar
Tadap kar baat kehte hain
Wohi mehmaan aate hain
Jo mere dil mein rehte hain
Jo mere dil mein rehte hain
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge

Sunaayenge unhen
Hasrat bhari aankhon se afsaana
Jo hum se ho saka to
Unko denge dil ka nazraana
Unhen hum dil ka nazraana
Woh aayenge khushi ban kar bahaaren
Saath laayenge
Mere ghar mein muhabbat ke nazaare
Muskuraayenge woh aayenge.

More songs lyrics from Aurat.