Udasiyan Lyrics

"Udasiyan" lyrics from Chahat sung by ali haider

Singer(s):

Udasiyan Lyrics


Lo chaa gayee udasiyan
Gulon ka rang utar gaya
Qareeb aake koi mere
Saaya sa guzar gaya
Mila tha jo bahar mein
Fiza mein wo bichhah gaya
Sanwar sanwar ke rang-e-pyaar
Jaane kyun bikhar gaya

Har ek naghma pyaar ka
Fizaon mein bikhar gaya
Na jaan-e-jaan kahan gayee
Na jaane dil kidhar gaya
Ho ro rahi kali kali
Ghum ki shaam dhal gayee
Tumhari yaad aayee iss tarha
Meri jaan nikal gayee
Ho jaan-e-jaan
Hai aasmaan surkh kyun
Dil mera machal gaya
Buna tha sapna jo kabhi
Toot ke bikhar gaya

Koi nahin dil mein aarzoo
Roshni kahin hai dur
Kahan hai khushiyon ki woh ladi
Jo aankhon mein piroyee thi
Ho zindagi harr ghadi
Aas mein kat rahi
Tumhari yaad aayee iss tarha
Meri jaan nikal gayee
Ho jaan-e-jaan
Hai chaarsu khamoshiyan
Dil ka dard bard gaya
Nikhar nikhar ke pyaar ka
Woh aashiyan ujad gaya.

More songs lyrics from Chahat.