Tumhari Jaane Tamanna Lyrics

"Tumhari Jaane Tamanna" lyrics from Laila Majnu sung by zohrabai ambalewali and music directed by govind ram, rafiq ghaznavi and composed by govind ram, rafiq ghaznavi and lyrics written by tanvir naqvi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Tumhari Jaane Tamanna Lyrics


Tumhari jaane tamanna salam kehti hai
Tumhari jaane tamanna salam kehti hai
Jise samjhte hai apna salam kehti hai
Jise samjhte hai apna salam kehti hai
Tumhari jaane tamanna salam kehti hai

Hawa yeh kaisi ke
Daman ko chum kar kehna
Na pher mujhse mohabbat
Bhari nazar kehna
Mere huzur se yeh hath jod kar kehna
Tumhare ishq ki duniya salam kehti hai
Tumhare ishq ki duniya salam kehti hai

Yeh duniya kaid se mujhko
Chhuda rahi hai aaj
Fiza ko gham ka fasana
Suna rahi hai aaj
Jise hai sunte mohabbat
Bujha rahi hai aaj
Larajte hath se laila salam kehti hai
Larajte hath se laila salam kehti hai
Tumhari jaane tamanna salam kehti hai.

More songs lyrics from Laila Majnu.