Tumhare Bina Humein Lyrics

"Tumhare Bina Humein" lyrics from Ilzam sung by asha bhosle and music directed by usha khanna and composed by usha khanna and lyrics written by asad bhopali

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Tumhare Bina Humein Lyrics


Hamari aah kab tak beasar hogi khuda jane
Akele zindagi kaise basar hogi khuda jane
Tadapte hai taraste hai
Magar kuch kah nahi sakte
Jo halat jo idhar hai
Kab udhar hogi khuda jane

Suni suni sajariya pe soya na jaye
Suni suni sajariya pe soya na jaye
Tumhare bina hame nindiya na aaye
Tumhare bina hame nindiya na aaye
Suni suni haye haye
Suni suni sajariya pe soya na jaye

Ab to har sham ki is tarah sahar hoti hai
Kan aahat mein isharo pe nazar hoti hai
Ek khyal aata hai ek jata hai tanhayi mein
Karwate lete hue rat basar hoti hai
Suni suni sajariya pe soya na jaye
Suni suni sajariya pe soya na jaye
Tumhare bina hame nindiya na aaye
Tumhare bina hame nindiya na aaye
Suni suni haye haye
Suni suni sajariya pe soya na jaye

Roz aate ho magar aag lagane ke liye
Dil mein armano ke tufan uthane ke liye
Tum to pathar ho bhala tumko khabar kya hogi
Hum pareshan hai ye bat batane ke liye
Suni suni sajariya pe soya na jaye
Suni suni sajariya pe soya na jaye
Tumhare bina hame nindiya na aaye
Tumhare bina hame nindiya na aaye
Suni suni haye haye
Suni suni sajariya pe soya na jaye.

More songs lyrics from Ilzam.