Tum Ko Hamari Umar Lag Jaye Lyrics

"Tum Ko Hamari Umar Lag Jaye" lyrics from Ayee Milan Ki Bela sung by lata mangeshkar and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Singer(s):
Lyricist(s):

Tum Ko Hamari Umar Lag Jaye Lyrics


Tumhen aur kyaa duun main dil ke sivaay
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tumhen aur kyaa duun main dil ke sivaay
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye

Muraaden ho puri, saje har tamanna
Muhabbat ki duniya ke, tum chaand ban na
Bahaaron ki manzil pe, hasana hasaana
Khushi mein hamaari bhi, aawaaz sun na
Kabhi zindagi mein koi gham na aaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tumhen aur kya dun main dil ke sivaay
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye

Mujhe jo khushi hai, tumhen kya bataaun
Bhala dil ki dhadkan ko, kaise chhipaaun
Kahin ho na jaaun, khushi se main paagal
Tumhen dekh kar, aur bhi muskuraaun
Khuda dil jalon ki, nazar se bachaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tumhen aur kya dun main dil ke sivaay
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye

Sitaaron se uncha ho, rutaba tumhaara
Bano tum har ik zindagi, ka sahaara
Tumhen jis se ulfat ho, mil jaaye tum ko
Samajh lo hamaari, du’a ka ishaara
Muqaddar tumhaara, sada jag magaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tumhen aur kya dun main dil ke sivaay
Tum ko hamaari umar lag jaaye
Tum ko hamaari umar lag jaaye.

More songs lyrics from Ayee Milan Ki Bela.