Tum Aasha Vishwaas Hamaare Lyrics

"Tum Aasha Vishwaas Hamaare" lyrics from Subah sung by lata mangeshkar and music directed by hridaynath mangeshkar and composed by hridaynath mangeshkar and lyrics written by pandit narendra sharma

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Tum Aasha Vishwaas Hamaare Lyrics


Naam na jaane
Dhaam naa aa jaane
Jaane na sevaa pooja
Jaane bas itna ajaan hum
Ek bina nahin dooja aa
Nahin doojaa

Tum aasha vishwaas hamaare
Tum dharti aakaash hamaare
Tum dharti aakaash hamaare raama
Tum aasha vishwaas hamaare
Tum dharti aakaash hamaare

Taat maat tum ,bandhu bhraat ho
Divas raatri sandhya prabhaat ho
Taat maat tum ,bandhu bhraat ho
Divas raatri sandhya prabhaat ho
Deepak soorya chandra taarak mein raama
Tum hi jyoti prakaash hamaare raamaa aa
Tum aasha vishwaas hamaare
Tum dharti aakaash hamaare

Saanson mein tum aate jaate
Ek tum hi se hain sab naate
Saanson mein tum aate jaate
Ek tum hi se hain sab naate
Jeevan van ke har patjhar mein ae raama
Ek tum hi madhumaas hamaare raamaa aa
Tum aasha vishwaas hamaare
Tum dharti aakaash hamaare

Tum hi sab mein
Hain tum mein sab a a a
Tum hi bhav ho,
Ho tum hi rab
Tum hi sab mein
Hain tum mein sab a
Tum hi bhav ho,
Ho tum hi rab
Ashru hamaari
Aankhon mein tum raama
Tum honthon par,
Haas hamaare raama
Tum aasha vishwaas hamaare
Raama hamaare
Daataa hamaare ae
Tum aasha vishwaas hamaare.

More songs lyrics from Subah.