Tu Dhundhta Hai Jisko Lyrics

"Tu Dhundhta Hai Jisko" lyrics from Yatrik sung by dhananjay bhattacharya and music directed by pankaj mullick and composed by pankaj mullick and lyrics written by pandit bhushan

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Tu Dhundhta Hai Jisko Lyrics


Tu dhundhta hai jisko
Basti mein ya ke ban mein
Woh saanwara salona rehta hai
Raheta hai tere man mein
Tu dhundhata hai

Masjid mein mandiron mein
Parbat ke kandron mein
Masjid mein mandiron mein
Parbat ke kandron mein
Nadiyon ke paaniyon mein
Gehre samandaron mein
Lehra raha hai wohi
Lehra raha hai wohi
Khud apne baankpan mein
Woh saanwra salona rehta hai
Rehta hai tere man mein
Tu dhundhta hai

Har zarre mein rama hai
Har phul mein basa hai
Har zarre mein rama hai
Har phul mein basa hai
Har chheez mein usi ka
Jalwa jhalak raha hai
Harkat wo kar raha hai
Harkat wo kar raha hai
Har ek ke tan badan mein
Woh saanwra salona rehta hai
Rehta hai tere man mein
Tu dhundhta hai

Kya khoya kya tha paaya
Kyun bhaaya kyun na bhaaya
Kyun soche ja raha hai
Kya paaya kya na paaya
Sab chhod de usi par
Sab chhod de usi par
Basti mein rahe ke ban mein
Woh saanwara salona raheta hai
Raheta hai tere man mein
Tu dhundhta hai.

More songs lyrics from Yatrik.