Thaath Nawabi Lyrics

"Thaath Nawabi" lyrics from Indian sung by alka yagnik, anand raj anand and music directed by anand raj anand and composed by anand raj anand and lyrics written by anand bakshi

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Thaath Nawabi Lyrics


Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai
Haiy haiy haiy haiy
Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai
Chunnu ki mummy raju ki maami
Wah teri kya baat hai
Hey roothon nahin aise yaar hum se
Karo kuch pyar vyar hum se
Dil deewane ka todo na
Kisko padhaogi chehra kitabi
Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai
Chunnu ki mummy raju ki maami
Wah teri kya baat hai

Oh jaane jaana maine yeh maana
Der se aana mera rog hai purana
Dekho ji peeche bilkul na aana
Main na maanungi naa naa nahi nahi naa naa
Maan jaao na jaaneman
Sab tumhara hain tan man dhan
Bin tumhare hai kya mera
Muqaddar ke taale ki tum hi ho chaavi
Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai
Oy oy oy oy oy
Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai

Ho tum se mohabbat kitni hain humko
Yeh jaanta hai saara zamana
Haan mujhko batao main na rahi to
Kya karoge yeh saara zamana
Main yeh maanta hoon dilbar
Chot tumko di hai dil par
Maafi maang loonga ghar par
Raste pe to na karon yeh kharabi

Au baatein karna aur ek nibhana
Theek hi to hai mera rooth jaana
Maana tadapti ho par sab samajti ho
Kitni mahan ho tum jaane jaana
Chodo chodo chodo naatak
Yun sataoge tum kab tak
Maan jaaogi na jab tak
Dekho to mausam hai kitna gulabi
Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai
Haiy haiy haiy haiy
Thaath nawabi baat nawabi
Wah teri kya baat hai
Chunnu ki mummy raju ki maami
Wah teri kya baat hai
Hey roothon nahin aise yaar hum se
Karo kuch pyar vyar hum se
Dil deewane ka todo na
Kisko padhaogi chehra kitabi.

More songs lyrics from Indian.