Teri Ek Ek Ada Jhooti Lyrics

"Teri Ek Ek Ada Jhooti" lyrics from Kavi sung by talat mahmood and music directed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and composed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):

Teri Ek Ek Ada Jhooti Lyrics


Teri ek ek ada jhooti
Wafaa jhuthi hayaa jhooti
Chalegi ai hasinaa kab talaq
Aakhir havaa jhooti

Maan kare kyaa rag rup kaa
Tu kaagaz kaa phul hai
Tujh me khushabu dhundh rahi hai
Ye duniyaan ki bhul hai
Maan kare kyaa rag rup kaa

Tujhe dekh ke laakh bujhaa le
Pyaas koi akhiyan ki
Binaa baas kaa phul banegaa
Kyaa shobhaa bagiyan ki
Daal kaa phool chadhe mandir mein
Tu raste ki dhul hai
Maan kare kyaa rag rup kaa

Binaa jyot kaa dipak hai tu
Binaa tel ki baati
Jab tan ujalaa aur man kaalaa
Phir kaahe itaraati
Shabanam khud ko saagar samajhe
Ye shabanam ki bhul hai
Maan kare kyaa rag rup kaa.

More songs lyrics from Kavi.