Tanha Na Apna Lyrics

"Tanha Na Apna" lyrics from Armaan sung by chandan dass and music directed by chandan dass and composed by chandan dass and lyrics written by saaz jabalpuri

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Tanha Na Apna Lyrics


Tanha na apna aapko
Ab paaiye janaab
Tanha na apna aapko
Ab paaiye janaab
Meri ghazal ko saath liye
Jaaiye janaab
Tanha na apna aapko

Nagmo ki baarishon
Mein kahin bheegane chale
Nagmo ki baarishon
Mein kahin bheegane chale
Mausam ki aarzoo ko
Na thukariye janaab
Mausam ki aarzoo ko
Na thukariye janaab
Meri ghazal ko saath liye
Jaaiye janaab
Tanha na apna aapko

Rishto ko bhul jaana to
Aasaan hain magar
Rishto ko bhul jaana to
Aasaan hain magar
Pehale khud apne aapko
Samjhaiye janaab
Pehale khud apne aapko
Samjhaiye janaab
Meri ghazal ko saath
Liye jaaiye janaab
Tanha na apna aapko

Aisa na ho thame huye
Aansu chhalak pade
Aisa na ho thame huye
Aansu chhalak pade
Rukhsat ke waqt mujh
Ko na samjhaiye janaab
Rukhsat ke waqt mujh
Ko na samjhaiye janaab
Meri ghazal ko saath liye
Jaaiye janaab
Tanha na apna aapko

Main saaz hoon ye
Yaad rahe iss liye kabhi
Main saaz hoon ye
Yaad rahe iss liye kabhi
Mere hi sher mujhko
Suna jaaiye janaab
Mere hi sher mujhko
Suna jaaiye janaab
Meri ghazal ko saath
Liye jaaiye janaab
Tanha na apna aapko
Ab paaiye janaab
Meri ghazal ko saath
Liye jaaiye janaab
Jaaiye janaab, jaaiye
Janaab, jaaiye janaab.

More songs lyrics from Armaan.