Suraj Ke Jaisa Hai Lyrics

"Suraj Ke Jaisa Hai" lyrics from Phool Aur Aag sung by achal and music directed by aditya-sunny, shaheen and composed by aditya-sunny, shaheen and lyrics written by shyam anuragi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Suraj Ke Jaisa Hai Lyrics


Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga
Yeh waqt kya pada tere samne
Zaher khula kaisa yeh teri chah mein
Teri hasi ko teri khushi ko
Waqt ne yu chhina kyu bata
Chanda ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga

Nafrat si sab ke dil mein
Paida yeh ho gayi hai
Samjhe na koi bhi yaha
Sach kya hai jhuth kya hai
Yeh kaisi dastan hai
Jaane na koi bhi yaha
Ek rab janata tune na ki khata
Phir bhi kyu mujrim
Tu ban gaya bata
Dil mein andhera
Kyu ho gaya bata
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga

Tere kadam sahi hai
Phir bhi galat bane hai
Duniya ki nazro mein
Tu raam roop hai jo
Kalyug mein aa gaya hai
Tu hai fasa uljan mein
Ek rab janata tune na ki khata
Phir bhi kyu mujrim
Tu ban gaya bata
Dil mein andhera
Kyu ho gaya bata
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga

Aankhon se tune apne
Amreet diya khushi ka
Dharm kiya karm kiya
Ha dharm raaj tu hai
Yamdharm raaj bole
Kyu tujhko yeh duniya
Ek rab janata tune na ki khata
Phir bhi kyu mujrim
Tu ban gaya bata
Dil mein andhera
Kyu ho gaya bata
Suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga
Tujhe kaisa grahan laga.

More songs lyrics from Phool Aur Aag.