Suno Suno Ae Duniya Waalon Lyrics

"Suno Suno Ae Duniya Waalon" lyrics from Bapu Ki Amar Kahani sung by mohammed rafi and music directed by bhagatram batish, husnlal batish and composed by bhagatram batish, husnlal batish and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Suno Suno Ae Duniya Waalon Lyrics


Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahaani
Woh bapu jo pujya hai
Itna jitna ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Porbandar gujarat desh mein
Ek rishi ne janam liya
Maat pitah ne mohandas
Karamchand gandhi naam diya
Bachpan khelkood mein gujra
London jaakar vidya payee
Barristor ban africa mein
Jaakar apni dhaak jamaayee
Lekin jo phaani duniya mein
Amar kahaane aate hai
Woh kab maaya moh mein
Phanskar apna samaa ganwaate hai
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahaani

Africa mein hindi jan ki
Badi durdasha payee
Gore raaj se takkar lekar
Satya ki jyot jalaayee
Phir bharat ki seva karne
Apne desh mein aaya
Sabarmati mein satyaagrah ka
Aashram aan banaaya
Aur khilafat kranti prant mein
Sabhapati ka darjah paya
Islami adhikaar ki raksha
Mein bhi haath bataya
Hindu muslim dono
Uski aankhon ke taare thhe
Duniya ke saare hi
Mazhab bapu ko pyaare the
Suno suno aye duniya
Waalon bapu ki ye amar kahani

Bharat kaumi congress ki
Aisi dhoom machaayee
Kaumi jhande ke neeche
Phir janta daudi aayee
Khadi ka parchaar kiya
Phir ghar ghar khaadi aayee
Aur bideshi maal ki holi
Gandhi ne jalwaayee
Charkhe ki awaaz jo goonjee huyi
Machine thandee
Aur shaan se lahraayee
Bharat ki trirangee jandee
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Woh bapu jo pujya hai itna
Jitna ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani.

More songs lyrics from Bapu Ki Amar Kahani.