Subah Ka Intezaar Kaun Kare Lyrics

"Subah Ka Intezaar Kaun Kare" lyrics from Joru Ka Bhai sung by lata mangeshkar and music directed by jaidev verma and composed by jaidev verma and lyrics written by sahir ludhianvi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Subah Ka Intezaar Kaun Kare Lyrics


Surmai raat hai sitaare hain
Aaj dono jahan hamare hain
Subah ka intezar, kaun karey
Subah ka intezar kaun karey

Phir ye rut ye sama mile na mile
Phir ye rut ye sama mile na mile
Aarzoo ka chaman khile na khile
Waqt ka aitbaar kaun karey
Subah ka intezar kaun karey

Le bhi lo hum ko apni baahon mein
Le bhi lo hum ko apni baahon mein
Rooh bechain hai nigaahon mein
Haaye, iltezaa baar baar kaun karey
Iltezaa baar baar kaun karey
Subah ka intezar kaun karey
Subah ka intezar kaun karey.

More songs lyrics from Joru Ka Bhai.