Sharaabi Sharaabi Tere Haath Mein Hai Lyrics

"Sharaabi Sharaabi Tere Haath Mein Hai" lyrics from Husn -E- Ghazal sung by avtar singh and music directed by avtar singh and composed by avtar singh and lyrics written by avtar singh

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Sharaabi Sharaabi Tere Haath Mein Hai Lyrics


Maikade ka nizaam kyaa kahiye
Jalwa e khas uaam kyaa kahiye
Jinki aankho se mai barasti hain
Unke hatho mein jaan kyaa kahiye
Unke hatho mein jaan kyaa kahiye

Sharaabi sharaabi sharaabi sharaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi
Sharaabi sharaabi sharaabi sharaabi

Isko aali janaab peete hain
Shahenshah aur nawaab peete hain
Baat puchho na saikh daaman ki
Woh bhi karke adaab peete hain
Ye to yaade hayaat hoti hain
Peeke allah se baat hoti hain
Puchha ek rind se kyun pee tumne
Bola ghum se nijaat hoti hain
Ke botal mein bandh hain
Khushi ka khazana
Ke botal mein bandh hain
Khushi ka khazana
Jise peeke jhoome ye sara zamana
Jise peeke jhoome ye sara zamana
Ajab teri rangat dekhi gulaabi
Sharaabi sharaabi sharaabi sharaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi

Teri mehfil badi suhaani hain
Teri masti bhari jawaani hain
Tujhko saaki salaam karta hain
Tere kadmon mein kaam raani hain
Tera paimana jab chhalkta hain
Husn pehlu mein khud machalta hain
Jab dil hi ho kali li angadaai
Koi bhanwra nahi kamalta hain
Kaali ghata hain abra hain
Aur waqte shaam hain
Saaqi bata de peene ka
Kyaa intzaam hain
Ab der na kar andher na kar
Peene ki tamanna baaki hain
Inkaar na kar takraar na kar
Gar saaki sacha saathi hain
Gar saaki sacha saathi hain
Rahe tu hamesha hi aabaad saaki
Rahe tu hamesha hi aabaad saaki
Ke botal se karde mai aazad saaki
Ke botal se karde mai aazad saaki
Mujhse sirf tumko har ek kamyaabi
Sharaabi sharaabi sharaabi sharaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi

Tere peena ka bhi jawaab nahi
Kitani peete ho kuchh hisaab nahi
Tere hosho hawaas ghum karde
Koi aisi bani sharaab nahi
Zarf tera kamaal dekha hain
Tera jahon jalaal dekha hain
Teri zinda dili ke main sadke
Woh aruze khayaal dekha hain
Zindgani sharaab ho jaaye
Ye jawaani sharaab ho jaaye
Saari duniya ho maikada yaaro
Saara paani sharaab ho jaaye

Tera saaqi ye maikhana jo mere
Naam ho jaaye
Musalasal peeta jaaun mai
Subah se shaam ho jaaye
Besabar hoon main ab sabar nahi
Kuchh hota dil par jabar nahi
Dil ka tarsana thik nahin
Ye maayusi ka dagar nahin
Ye maayusi ka dagar nahin
Humein bhi sikha de ye peena peelana
Humein bhi sikha de ye peena peelana
Bhara masti o ka ye dede khazana
Bhara masti o ka ye dede khazana
Hata kar ye pardon ki saari kharaabi
Sharaabi sharaabi sharaabi sharaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi
Tere haath mein hai ye jannat ki chaabi
Sharaabi sharaabi sharaabi sharaabi.

More songs lyrics from Husn -E- Ghazal.