Saqiya Sharab De Lyrics

"Saqiya Sharab De" lyrics from Pyar Ki Baatein sung by harendra khurana and music directed by harendra khurana and composed by harendra khurana

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Saqiya Sharab De Lyrics


Rut badi haseen hain
Tohfa e shabab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Rut badi haseen hain
Tohfa e shabab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de

Uthi hain jhoomkar ghata
Machalke tu bhi jaam utha
Haseen rut ka wasta
Nazar milake hosh utha
Fizza bhi khush ghawaar hain
Bahar hi bahaar hain
Kali kali pe husn hain
Ghulo pe bhi nikhaar hain
Ye doar hain shabaab ka
Haseen inqalaab ka
Ye saaqi aise dor mein
Tu jaam de sharaab ka

Sharaab mein wo rang ho
Jawaan har umang ho
Peelade is adda se tu
Zamana saara tang ho
Naseeb jo sanwaar de
To husn lajawaab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de

Har ek jubaan pe saaqiya
Tera hi aaj naam ho
Peela peela peelaye jaa
Peelana tera kaam ho
Peela de aaj is kadar
Nasha na utare umra bhar
Na gham ka ho kis ko gham
Woh masti o ka ho asar

Badal de dore jaam mein
Tu gardishe hayaat ka
Tu ghol de sharaab mein
Khushi ki kaynaat ko

Na fikra kar gunaah ki
Nahi gunaah main kashi
Hain maikashi to saqiya
Sharaabi o ki bandagi
Na fikra kar hisaab ki
Tu aaj behisaab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de
Saqiya sharab de.

More songs lyrics from Pyar Ki Baatein.