Sahib Lyrics

"Sahib" lyrics from Bhoothnath Returns sung by rituraj and music directed by ram sampath and composed by ram sampath and lyrics written by munna dhiman

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Sahib Lyrics


Sahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna
Tera karam sab ko
Mile sabki fikar rakhna
Saahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna

Naa aadmi ki aadmi
Jhele gulamiyan
Naa aadmi se aadmi
Maange salaamiyan
Jo fark paida ho rahe
Woh fark gark ho
Sab ko barabar baant
Ye dharti ye aasmaan
Koi bhi na ho dard
Mein sabki khabar rakhna
Sahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna

Sab sar utha ke chal
Sake sab ko ye bal mile
Koi kisi awaaz ko
Daata kuchal na de
Yahan kaam bhi sab ko
Mile aaraam bhi sab ko
Mehnat kare jo aadmi
Mehnat ka phal mile
Har bol pe har baat
Pe apna asar rakhna
Sahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna
Sahib nazar rakhna
Maula nazar rakhna
Maula maula.

More songs lyrics from Bhoothnath Returns.