Saawan Ki Ghata Lyrics

"Saawan Ki Ghata" lyrics from Aag Aur Toofan sung by mahendra kapoor and music directed by datta naik and composed by datta naik and lyrics written by anand bakshi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Saawan Ki Ghata Lyrics


Saawan ki ghata paayal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kyamat kahte hai
Saawan ki ghata

In julfo ka jane raz hai kya
In aankho ka ye andaz hai kya
In julfo ka jane raz hai kya
In aankho ka ye andaz hai kya
Yu koi sitam dhaye to sanam
Hum usko inayat kahte hai
Saawan ki ghata

Phulo ka guman bhi jhutha hai
Jannat ka bharam bhi tuta hai
Phulo ka guman bhi jhutha hai
Jannat ka bharam bhi tuta hai
In sabse kahi wo jajba hasi
Jise teri mohabbat kahte hai
Saawan ki ghata

Pucha hai sitaro se maine
Kyu nind nahi aati mujhko
Pucha hai sitaro se maine
Kyu nind nahi aati mujhko
Hai teri kasam wo isko sanam
Teri hi sararat kahte hai
Saawan ki ghata paayal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kyamat kahte hai
Saawan ki ghata.

More songs lyrics from Aag Aur Toofan.