Saat Samandar Paar Lyrics

"Saat Samandar Paar" lyrics from Patrani sung by lata mangeshkar and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Singer(s):
Lyricist(s):

Saat Samandar Paar Lyrics


Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar
Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar
Sapno ka sansar kahu
Ya sajan tera dhwar kahu
Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar

Mat pita ko chhod chali
Tumhre karan
Chhod diya gharbar
Tu jo mile to sab kuch pa lu
Bigdi huyi takdir bana lu
Kahti hai dil ki pukar
Darshan ko aati hai
Aankhe meri bekarar
Haye ram
Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar

Lakh bhi aaye is path par tufan
Pake rahungi mai
Mann ka bhagwan
Tan ko man ki dhup jalaye
Man ki agan ko kon bujhaye
Ruth chukhi hai piya bin bahar
Jivan hai dusvar haye ram
Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar

Dil ko laga hai birha man ka rog
Mera unse janam janam sanjog
Yu to pade na ruh ki kali mai
Pi ke liye kanto pe chali mai
Nav meri majhdhar padi hai
Dur hai khevan har
Haye ram
Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar
Saat samandar paar haye
Re mera sapno ka sansar.

More songs lyrics from Patrani.