Reham Kar Aasmaan Reham Kar Lyrics

"Reham Kar Aasmaan Reham Kar" lyrics from Taj sung by lata mangeshkar and music directed by hemanta kumar mukhopadhyay and composed by hemanta kumar mukhopadhyay and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Reham Kar Aasmaan Reham Kar Lyrics


Yeh kaisa toofaan utha hai
Mere ghar mein aaj
Toot toot kar bikhar raha hai
Mere pyaar ka taaj
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan

Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Aaj mitne lagi
Pyaar ki daastaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Aaj mitne lagi
Pyaar ki daastaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan

Meri duniya ke
Jalte diye na bujha
Meri duniya ke
Jalte diye na bujha
Rok le rok bhi le
Yeh zeheri hawa o o o
Yoon na barbaad kar
Yoon na barbaad kar
Do dilon ka jahaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan

Chaand taare tere
Muskuraate rahen
Chaand taare tere
Muskuraate rahen
Muskuraate rahen
Jagmagaate rahen
Mera deepak bhi
Jalne de o aasmaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan
Aaj mitne lagi
Pyaar ki daastaan
Reham kar aasmaan
Reham kar aasmaan

Aaj ki raat ka jo sawera hua
Door nazron se jo
Chaand mera hua
Bad dua doongi
Main tu pighal jaayega
Aah meri lagegi
Tu jal jaayega
Saath mere mitega
Tera bhi nishaan
Be reham aasmaan
Be reham aasmaan
Be reham aasmaan.

More songs lyrics from Taj.