Rakhi Dhagon Ka Tyohar Lyrics

"Rakhi Dhagon Ka Tyohar" lyrics from Rakhi sung by mohammed rafi and music directed by ravi shankar sharma (ravi) and composed by ravi shankar sharma (ravi) and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Rakhi Dhagon Ka Tyohar Lyrics


Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Bandha huwa ik ik dhage mein
Bhai bahan ka pyaar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar

Kitna komal kitna sundar
Bhai behan ka nata
Iss nate ko yaad dilane
Yeh tyauhar hain aata
Behan ke man kee
Aashayein rakhi ke yeh tar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar

Behan kahe mere veer tuje
Na buri najariya lage
Mere raja bhaiya tujako
Meree umariya lage
Dhan hu paraya phir bhee
Milungi sal mein toh ek bar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar

Bhai kahe o behan main
Teree laj ka hu rakhwala
Gunthunga main pyaar se
Tere armano kee mala
Bhainbahan ka pyaar rahega
Jab tak hain sansaar

Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Bandha huwa ik ik dhage mein
Bhai bahan ka pyaar
Rakhi dhagon ka tyauhar
Rakhi dhagon ka tyauhar.

More songs lyrics from Rakhi.