Pyar Ki Rut Lyrics

"Pyar Ki Rut" lyrics from Apni Izzat sung by madhubala zaveri, talat mahmood and music directed by hansraj behl and composed by hansraj behl and lyrics written by asad bhopali

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Pyar Ki Rut Lyrics


Pyar ki rut do rangi sajan
Man mein holi aankh mein sawan
Man mein holi aankh mein sawan

Pyar ki rut do rangi sajan
Man mein holi aankh mein sawan
Man mein holi aankh mein sawan

Pyar suhana sapna bhi hai
Pyar suhana sapna bhi hai
Pyar ka naam tadpana bhi hai
Pyar hi aahe pyar hi dhadkan
Man mein holi aankh mein sawan
Man mein holi aankh mein sawan

Tujh se mile bin chain na paye
Tujh se mile bin chain na paye
Tu jo mile to hum kho jaaye
Jitna soche utani hi uljha
Man mein holi aankh mein sawan
Man mein holi aankh mein sawan

Hook uthe dil baitha jaaye
Hook uthe dil baitha jaaye
Koi na jaane bhag paraye
Apne hi aansu apna hi daman
Man mein holi aankh mein sawan
Man mein holi aankh mein sawan.

More songs lyrics from Apni Izzat.