Pyar Ki Dastan Lyrics

"Pyar Ki Dastan" lyrics from Faraar sung by lata mangeshkar and music directed by hemanta kumar mukhopadhyay and composed by hemanta kumar mukhopadhyay and lyrics written by kaifi azmi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Pyar Ki Dastan Lyrics


Pyar ki dastan tum suno to kahen
Kya karega sunke jahaan
Tum suno to kahen
Pyar ki dastan tum suno to kahen
Pyar ki dastan

Do dilon ke milne se
Sau diye jal jaate hain
Do dilon ke milne se
Sau diye jal jaate hain
Aarzoo ki manzil tak
Raaste sab aate hain
Ham kahaan se aaye kahaan
Tum suno to kahen
Pyar ki dastan tum suno to kahen
Pyar ki dastan

Bas yahi to poochha tha
Ek din kuchh sharmaake
Bas yahi to poochha tha
Ek din kuchh sharmaake
Kyun gagan yoon miltaa hai
Is zameen se ghabraake
Ho gaye sab armaan jawaan
Tum suno to kahen
Pyar ki dastan tum suno to kahen
Kya karega sunke jahaan
Tum suno to kahen
Pyar ki dastan tum suno to kahen
Pyar ki dastan.

More songs lyrics from Faraar.