Purani Jeans Lyrics

"Purani Jeans" lyrics from Sandesa sung by ali haider

Singer(s):

Purani Jeans Lyrics


Purani jeans aur guitar
Mohalle ki woh chhat
Aur mere yaar
Woh raaton ko jaagna
Subah ghar jaana
Kood ke deewar
Woh cigaretee peena
Gali mein jaake
Woh karna daanton ko
Ghadi ghadi saaf
Pahunchna college
Hamesha late
Woh kehna sir ka
Get out from the class
Woh bahar jaake
Hamesha kehna
Yahan ka system
Hi hai kharaab
Woh jaake canteen mein
Table bajaake
Woh gaane gaana
Yaaron ke saath
Bas yaadein
Yaadein
Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti chhoti
Baatein reh jaati hain
Bas yaadein

Woh papa ka daantna
Woh kehna mummy ka
Chhodein ji aap
Tumhein to bas nazar aata hai
Jahan mein beta
Mera hi kharaab
Woh dil mein sochna
Kar ke kuchh dikha dein
Woh karna planning
Roz nayi yaar
Ladakpan ka woh pehla pyaar
Woh likhna haathon pe
Woh khidki se jhaankna
Woh likhna letter
Unhein baar baar
Woh dena tohfe mein
Sone ki baaliyan
Woh lena doston se
Paise udhaar
Bas yaadein yaadein
Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti chhoti
Baatein reh jaati hain
Bas yaadein

Aisa yaadon ka mausam chala
Bhoolta hi nahin dil mera
Kahan meri jeans aur guitar
Mohalle ki woh chhat
Aur mere yaar
Woh raaton ko jaagna
Subah ghar jaan
Kood ke deewar
Purani jeans
Aur guitar.

More songs lyrics from Sandesa.