Prem Ka Hai Is Jag Mein Lyrics

"Prem Ka Hai Is Jag Mein" lyrics from President sung by kundan lal saigal and music directed by rai chand boral and composed by rai chand boral

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Prem Ka Hai Is Jag Mein Lyrics


Prem ka hai is jag mein
Panth niraalaa
Prem to hai duniya mein
Kaaran dukh ka
Premi ko hota hai
Anubhav sukh ka
Sheetal pavan hai
Us ko prem ki jwaalaa
Sheetal pavan hai
Us ko prem ki jwaalaa

Prem ka hai is jag mein
Panth niraalaa
Prem japan ki jag mein
Reet hai nyaari
Ansuvan ke mankon
Par prem pujaari
Ro ro kar japtaa hai
Prem ki maalaa
Ro ro kar japtaa hai
Prem ki maalaa
Prem ka hai is jag mein
Panth niraalaa

Paagal premi ab
Tu kyun rota hai
Prem ka to aisa hi
Phal hota hai
Paagal premi ab
Tu kyun rota hai
Prem ka to aisa hi
Phal hota hai
Pehle kaahe na
Tune dekha bhaalaa
Pehle kaahe na
Tune dekha bhaalaa
Pehle kaahe na
Tune dekha bhaalaa.

More songs lyrics from President.