Poetry Of Kaagaz Lyrics

"Poetry Of Kaagaz" lyrics from Kaagaz sung by rahul jain, salman khan and music directed by rahul jain and lyrics written by aseem ahmed abbasee

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Poetry Of Kaagaz Lyrics


Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi
Kya ajab cheez hai ye kaagaz bhi

Baarishon mein hai naav kaagaz ki
Sardiyon mein alaav kaagaz ki
Aasmaan mein patang kaagaz ki
Saari duniya mein jung kaagaz ki

Kabhi akhbaar kabhi khat kaagaz
Rozmaraah ki zaroorat kaagaz
Aane jaane ki sahulat kaagaz
Jeene marne ki ijazat kaagaz

Pyar ki chitthiyan bhi kaagaz ki
Kaam ki arziyan bhi kaagaz ki
Jashn mein jhandiya bhi kaagaz ki
Jism ki mandiyan bhi kaagaz ki

Bane naaton ka bhi gawaah kaagaz
Kahin shaadi kahin nikaah kaagaz
Kahi talaak ka gunaah kaagaz
Banaye aur kare tabaah kaagaz

Note kaagaz kitaab hai kaagaz
Sabki aankhon ka khwaab hai kaagaz
Majhabo ka hisaab hai kaagaz
Raham kaagaz ajaab hai kaagaz

Chhine le khet ghar zamee kaagaz
Pochhe aankhon ki bhi nami kaagaz
Har jagah yun hai laazmi kaagaz
Jaise ghar ka hai aadami kaagaz

Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi
Kya ajab cheez hai ye kaagaz bhi.

More songs lyrics from Kaagaz.