Phir Se Mausam Bahaaron Ka Lyrics

"Phir Se Mausam Bahaaron Ka" lyrics from Khazana 85 sung by pamela singh and music directed by pamela singh and composed by pamela singh

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Phir Se Mausam Bahaaron Ka Lyrics


Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain
Phir se rangeen zamana badal jaayega
Ab ke bazmein charaga sajayenge hum
Ab ke bazmein charaga sajayenge hum
Ye bhi armaan dil ka nikal jaayega
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain

Fiki fiki se kyun shaame maikhana hain
Luft pee saqi bhi kam khali paimaana hain
Fiki fiki se kyun shaame maikhana hain
Luft pee saqi bhi kam khali paimaana hain
Apni nazaro hi se kuchh peela dijiye
Apni nazaro hi se kuchh peela dijiye
Rang mehfil ka khud hi badal jaayega
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain

Aazmaayenge apne muqaddar ko hum
Karke bayaan dastaane alam
Aazmaayenge apne muqaddar ko hum
Karke bayaan dastaane alam
Ho na ho hum pe unki nigahe karam
Ho na ho hum pe unki nigahe karam
Dil ka armaan to apne nikal jaayega
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain

Aap karde jo mujhpe nigahe karam
Meri ulfat ka reh jaayega kuchh bharam
Aap karde jo mujhpe nigahe karam
Meri ulfat ka reh jaayega kuchh bharam
Ye fasana to mera rahega yunhi
Ye fasana to mera rahega yunhi
Sirf urvaan iska badal jaayega
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain

Aapne dil jo jaahid ka toda to kyaa
Aapne uski duniya ko chhoda to kyaa
Aapne dil jo jaahid ka toda to kyaa
Aapne uski duniya ko chhoda to kyaa
Aap itane to aakhir pareshaan na ho
Aap itane to aakhir pareshaan na ho
Woh sambhalte sambhalte sambhal jaayega
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain
Phir se rangeen zamana badal jaayega
Ab ke bazmein charaga sajayenge hum
Ye bhi armaan dil ka nikal jaayega
Phir se mausam bahaaron ka aane ko hain.

More songs lyrics from Khazana 85.