Paisa Ye Paisa Lyrics

"Paisa Ye Paisa" lyrics from Muqaddar Ka Faisla sung by asha bhosle and music directed by bappi lahiri and composed by bappi lahiri and lyrics written by anjaan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Paisa Ye Paisa Lyrics


Sau sau ke noto ki roti bana ke
Sabhji mein heero ka tadka laga ke
Shriman ji aap khate hain
Yaki maniye bade shok se
Ye khana mere bap khate hain

Arey haye paisa haye haye paisa
Aa jaye paisa na jaye paisa
Hume dar hain kahi inko
Mere pyaro na kha jaye paisa
Arey haye paisa haye haye paisa
Aa jaye paisa na jaye paisa
Hume dar hain kahi inko
Mere pyaro na kha jaye paisa
Arey haye paisa
Haye haye paisa paisa

Jinhe banaya malik ne
Ma ne unhe insan kaha
In daulat ke bando ka
Paisa hai bhagwan yaha
Inhe chahiye bas
Heera moti sona chandi

Arey jiska badan ho sone ka
Bal ho jiske chandi ke
Aankhe jiski heere ki
Dant hai jiske moti ke
Us pathar dil se
Kar denge beti ki shadi
Arey haye paisa haye haye paisa
Arey haye paisa haye haye paisa
Aa jaye paisa na jaye paisa
Hume dar hain kahi inko
Mere pyaro na kha jaye paisa
Arey haye paisa haye haye paisa

Meri nani kahti thi
Ek kahani kahti thi
Paiso ka ek lobhi tha
Inke jaisa dobhi tha
Dolat ka deewana
Koi hoga na vaisa
Ant samay jis din aaya
Yamdut ne farmaya
Apko nark mein jana hain
Yaha pe savrag pahunchana hain
Bhola bhai chlo jaha
Ho paisa hi paisa
Arey haye paisa haye haye paisa
Aa jaye paisa na jaye paisa
Hume dar hai kahi inko
Mere pyaro na kha jaye paisa
Paisa paisa paisa paisa paisa
Paisa paisa paisa hi paisa.

More songs lyrics from Muqaddar Ka Faisla.