Oonch Neech Ka Bhed Bhula Kar Lyrics

"Oonch Neech Ka Bhed Bhula Kar" lyrics from Hum Bhi Insaan Hain sung by hemanta kumar mukhopadhyay and music directed by hemanta kumar mukhopadhyay and composed by hemanta kumar mukhopadhyay and lyrics written by shailendra (shankardas kesarilal)

Music Director(s):

Oonch Neech Ka Bhed Bhula Kar Lyrics


Oonch neech ka bhed bhula kar
Gale milo sare insan
Sabka ek pita parmeshwar
Jag mein sab jan ek saman
Raghupati raghav raja ram
Ishwar allah tere naam

Oonch neech ka bhed bhula kar
Gale milo sare insan
Sabka ek pita parmeshwar
Jag mein sab jan ek saman
Raghupati raghav raja ram
Ishwar allah tere naam

Pathar ko tum shish nawao
Aur insan ko thukraya
Kaisa hai ye nyay tumhara
Kuch hamko bhi samjhao
Kaun dharam ye kaisa gyan
Jag mein sab jan ek saman
Raghupati raghav raja ram
Ishwar allah tere naam

Ganga jamuna khub nahaye
Man ki kayi dho na sake
Dunia bhar ke dost bane
Ghar mein bhai ke ho na sake
Karo na ab khud ka apman
Jag mein sab jan ek saman
Raghupati raghav raja ram
Ishwar allah tere naam

Oonch nich ka bhed bhula kar
Gale milo sare insan
Sabka ek pita parmeshwar
Jag me sab jan ek saman
Raghupati raghav raja ram
Ishwar allah tere naam.

More songs lyrics from Hum Bhi Insaan Hain.