O Re Kanchi Lyrics

"O Re Kanchi" lyrics from Asoka sung by alka yagnik, shaan and music directed by anu malik, sandeep chowta and composed by anu malik, sandeep chowta and lyrics written by gulzar (sampooran singh kalra)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

O Re Kanchi Lyrics


Oh re kanchi
Kaanch ki gudiya
Hothon mein baandhe
Prem ki pudhiya
Naa unhe khole
Na moonh se bole
Palkon pe rakhke
Aankhon se tole

Suniyo suniyo
Misri se meethi
Aankhon mein bund
Hai baatein rasili
Naa unhe khole na
Moonh se bole
Palkon pe rakhke
Aankhon se tole

Pahadi paar chalna hai
To parbat hata doon
Ghataon mein kahin
Chhupna hai to saawan bula doon
Mahuwa mahuwa mehka mehka
Mehka mehka mahuwa mahuwa

Koyi udta hua panchhi
Bata dega thikana
Jahan se din nikalta
Hain usi kille pe aana
Mahuwa mahuwa
Mehka mehka
Mehka mehka
Mahuwa mahuwa

Oh re kanchi kaanch ki gudiya
Tera koi parichay ho to
Aye sundari bata de
Badi meethi teri muskaan
Hai mundri bana de
Mahuwa mahuwa mehka mehka
Mehka mehka mahuwa mahuwa

Haye pardesi mujhe
Bhool jayega kahin pe
De vachan maein pehen
Loon use gehna samajh ke
Mahuwa mahuwa mehka mehka
Mehka mehka mahuwa mahuwa.

More songs lyrics from Asoka.