O Kanhaiya O Kanhaiya Lyrics

"O Kanhaiya O Kanhaiya" lyrics from Kanhaiya sung by lata mangeshkar and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Singer(s):
Lyricist(s):

O Kanhaiya O Kanhaiya Lyrics


O kanhaiya o kanhaiya
Aaj aana khwab me
Apni radha ko gale se
Tu lagana khwab me
O kanhaiya o kanhaiya
Aaj aana khwab me
Apni radha ko gale se
Tu lagana khvab me

Nain hamare tera mandir
Aur ye dil aarti
Aur ye dil aarti
Le gayi hai dil hamara
Teri surat savari
Teri surat savari
Kah rahi hai gungunakar
Mann ki koyal bavari
O kanhaiya o kanhaiya
Aaj aana khwab me
Apni radha ko gale se
Tu lagana khwab me

Jab suhani sham aaye
Yaad aaye sham ki
Yaad aaye sham ki
Jap rahi hoon prem mala
Main tumhare naam ki
Main tumhare naam ki
Tum nahi to meri vyakul
Zindagi kis kaam ki
O kanhaiya o kanhaiya
Aaj aana khwab me
Apni radha ko gale se
Tu lagana khwab me

Aaj palakon ke jharokhe
Mein bula lungi tujhe
Main bula lungi tujhe
Dil ke sinhasan pe mohan
Main bitha lungi tujhe
Main bitha lungi tujhe
Dono aankhe minch lungi
Aur chhupa lungi tujhe
O kanhaiya o kanhaiya
Aaj aana khwab me
Apni radha ko gale se
Tu lagana khwab me
O kanhaiya o kanhaiya
Aaj aana khwab me.

More songs lyrics from Kanhaiya.