Nigaahen Wo Kya Lyrics

"Nigaahen Wo Kya" lyrics from Mujrim Kaun Khooni Kaun sung by jaani babu qawwal, shamshad begum and music directed by bipin babul and composed by bipin babul and lyrics written by naqsh lyallpuri

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Nigaahen Wo Kya Lyrics


Nigaahe kyaa wo jo dekhen
Ye jalweh darr darr ke
Nigaahe kyaa wo jo dekhen
Ye jalweh darr darr ke
Ke wo jeenaa bhi kyaa jeenaa
Ke jiyen mar mar ke
Ke wo jeenaa bhi kyaa jeenaa
Ke jiyen mar mar ke
Ke jiyen mar mar ke
Haaaa aaaaaaa aaaaaaa
Aaaaaaaaa aaaaaaa
Chaley to aaye mehfil mein
Bahaanaa kar kar ke
Chaley to aaye mehfil mein
Bahaanaa kar kar ke
Na hogi baat jab uthhengey
Aahen bhar bhar ke
Na hogi baat jab uthhengey
Aahen bhar bhar ke
Hooo aahen bhar bhar ke

Sitamgar le kar kitney
Na jaane aaye fitney
Koi ye naaz dekhe
O ho zaraa andaaz dekhe
Nigaahen kaafiraanaa haaye
Adaayen qaatilaanaa
Niraali baaten in ki
Anokhi ghaaten in ki
Haaye hamaaraa chain le kar
Hamen dikhlaayen tewar
Magar ye jalwe saare
Bhatakte maare maare
Jo hum na maan letey haaye
To ye khud jaan letey
Ke in kaa mol kyaa hai haaye
Badaa ye bol kyaa hai
Ke in kaa mol kyaa hai
Badaa ye bol kyaa hai
Na hotey phir fasaane ye
Jahaan mein ghar ghar ke
Jahaan mein ghar ghar ke
Na hotey phir fasaane ye
Jahaan mein ghar ghar ke
Na hogi baat jab uthhengey
Aahen bhar bhar ke
Hoo aahen bhar bhar ke

Bade dildaar ban ke
Ye jo baitthe hain tan ke
Zamaanaa jaantaa hai
Inhey pehchaantaa hai
Oooooo
Ye matlab ke hain bande
Garaz ke daalen phande
Shabaash
Hai jhootthi in ki yaari
Dikhaawe ki dildaaree
Ke ye khud pe martey hain
Usey rusvaa kartey hain
Waah waah
Badey hoshiyaar hain ye
Badey ayyaar hain ye
Wafaa ka dum bhartey hain
Badee baaten kartey hain
Wafaa ka dum bhartey hain
Badee baaten kartey hain
Haqeeqat se begaaney
Ye kyaa jaaney anjaaney jeeyo
Haqeeqat se begaaney
Ye kyaa jaaney anjaaney
Milegaa kyaa inhey ke ye
Sawwaali dar dar ke
Sawwaali dar dar ke
Milegaa kyaa inhey ke ye
Sawwaali dar dar ke
Nigaahe kyaa wo jo dekhen
Ye jalweh darr darr ke
Ye jalweh darr darr ke

Jisey ilzaam denaa
Usi kaa naam lenaa
Haseeno ki adaa hai haay
Adaa bhi haaye kyaa hai
Karen ye dil ki chori
Aur us pe seena zori
Karen ye dil ki chori
Aur us pe seena zori
Kahen to kyaa kahen hum
Hai behtar chup rahen hum
Ye jo ik baat kee hai
Samajhdaari yehi hai achha
Shikaayat khaam-khaan ki
Nahin hoti hai achhee
Lagaavat se kyaa haasil
Banaavat se kyaa haasil
Alag manzil hamaari
Judaa raahen tumhaari
Alag manzil hamaari
Judaa raahen tumhaari
Mohabbat aur badhti hai
Dilon mein lad lad ke
Dilon mein lad lad ke
Mohabbat aur badhti hai
Dilon mein lad lad ke
Mohabbat aur badhti hai
Dilon mein lad lad ke
Nigaahe kyaa wo jo dekhen.

More songs lyrics from Mujrim Kaun Khooni Kaun.