Nazar Mila Ke Nazar Churana Lyrics

"Nazar Mila Ke Nazar Churana" lyrics from Anuraag sung by lata mangeshkar and music directed by mukesh chand mathur (mukesh) and composed by mukesh chand mathur (mukesh) and lyrics written by kaif irfani

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Nazar Mila Ke Nazar Churana Lyrics


Nazar mila ke nazar churana
Naya tarika ye pyar ka hai
Aji na aise mein ruth jana ke
Aaj mausam bahar ka hai
Nazar mila ke nazar churana
Naya tarika ye pyar ka hai

Ye do hi din mein badal sa jana
Kaha se sikha yu dil lagana
Ye do hi din mein badal sa jana
Kaha se sikha yu dil lagana
Hume bhi aata hai ruth jana
Sawal lekin karar ka hai
Aji na aise me ruth jana ke
Aaj mausam bahar ka hai

Tumhe nahi par hame khabar hai
Wafa mein apni bada asar hai
Tumhe nahi par hame khabar hai
Wafa mein apni bada asar hai
Jo khich layi hai pas tumko
Asar ye dil ki pukar ka hai
Aji na aise mein ruth jana ke
Aaj mausam bahar ka hai

Chalo ji itna hame batao
Kasam hamari jo tum chupao
Chalo ji itna hame batao
Kasam hamari jo tum chupao
Ye yaad kis ki sata rahe hai
Khyal kis bekarar ka hai
Aji na aise mein ruth jana ke
Aaj mausam bahar ka hai.

More songs lyrics from Anuraag.