Nani Maa Lyrics

"Nani Maa" lyrics from Moksha: Salvation sung by mahalakshmi iyer and music directed by rajesh roshan and composed by rajesh roshan and lyrics written by javed akhtar

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Nani Maa Lyrics


Haseen pyaari boli
Shahed ke jaise meethi
Hai naram jaisi
Ruhi nani maa
Kahaniyaan sunati
Pehliyaan bujaati
Thapak thapak
Sulaati nani maa
Tumhi ho meri lori
Tumhi meri kahani
Tumhara pyaar bachpan
Ki ek haseen nishani
Tumhi ne di thi gudiya
Jo thi meri saheli
Tumhara hi tha aangan
Main kal thi jis mein kheli

Tumhi ne tha bataaya
Hai rang kitne sare
Tumhi ne tha bataaya
Hai phool kitne pyaare
Tumhi ne tha sikhaaya
Badon se kaise boloon
Tumhi ne tha sikhaaya
Dupatta kaise odhoon
Woh pyaar se bulaati
Woh pyar se sikhaati
Woh kuch na kuch
Bataati nani maa

Tumhi ne mere dil mein
Mohabbatein hain gholi
Tumhi se to suni thi jo
Bolti hoon mein boli
Tumhi ne to kaha tha
Jo bolta nain hain
Hameshaa yaad rakhna
Ke zindagi haseen hain
Woh har subhah
Mithaayeya khilaati
Hameshaa muskuraati nani maa
Haseen pyaari boli
Shahed ke jaise meethi
Hai naram jaisi ruhi nani maa.

More songs lyrics from Moksha: Salvation.