Naino Ke Pokhar Lyrics

"Naino Ke Pokhar" lyrics from Laali Ki Shaadi Mein Laaddoo Deewana sung by mohammad irfan, vipin patwa and music directed by vipin patwa and composed by vipin patwa and lyrics written by dr sagar

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Naino Ke Pokhar Lyrics


Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera
Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera

Aankhon se zarne kyun phut-te hai
Naino ke pokhar kyun sukhte hai
Ashqo mein sapne beh jaate hai kyun
Waade adhure reh jaate hai kyun
Kyun hota hai ehsaas khone ka
Kyun hota hai main jaanu na
Kyun hota hai gham kisi ke khone ka
Kyun hota hai main jaanu na

Saanse begaani ho gayi hai
Dhadkan parai si lage
Oo saari fizaao mein yahaan ghul
Koi ruswaai si lage
Khwaabon ke moti kyun tut-te hai
Khushiyon ke mausam kyun ruthate hai
Bin bole naina keh jaate hai kyun
Alfaaz hothon pe reh jaate hai kyun
Kyun hota hai ehsaas khone ka
Kyun hota hai main jaanu na
Kyun hota hai gham kisi ke khone ka
Kyun hota hai main jaanu na

Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera
Uljhi si ek dor hai koi
Khamoshi mein shor hai koi
Kisko ye batlaye kya dil puchhe ab mera..

More songs lyrics from Laali Ki Shaadi Mein Laaddoo Deewana.