Naamkarann (Title) Lyrics

"Naamkarann (Title)" lyrics from Naamkarann sung by monali thakur and music directed by anu malik and composed by anu malik and lyrics written by kausar munir

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Naamkarann (Title) Lyrics


Ae zindagi qatra hoon main
Ya main hoon dariya tumhara
Ae zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana
Ik baar aankhen milaa ke bata de
Kyaa naam hai mera…

Chaand hoon main yaa chaand ka tukda
Ya main hoon daag tumhara

Ae zindagi qatra hoon main
Ya main hoon dariya tumhara
Ae zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana

Main chadhta savera
Ya hoon kaali raat
Ya mit mit ke banti hui kainaat
Main girta sitaara hoon
Ya hoon falak
Ya waqt ki aankhon se tooti palak

Hai ugte sooraj ki mujh mein tapish
Hai jalti sitaaro ki mujh mein khalish
Ya mitti ka chota sa main hoon diya
Maa ne se re raaz roshan kiya

Ae zindagi main roshni
Ya main andhera tumhara
Ae zindagi main hoon marhan
Ya zakhm main hoon purana
Ik baar aankhen milaa ke bata to
Kya naam hai mera

Chaand hoon main ya chaand ka tukda
Ya main hoon daag tumhara

Ae zindagi katra hoon mein
Ya main hoon dariya tumhara
Ae zindagi zarra hoon main
Ya main hoon sara zamana

Main mitti mein hoon main chattano mein bhi
Main oas mein hoon
Main toofaano mein bhi
Ik naam mein kese samaa paungi
Main banjar mein hoon
Mein baharon mein bhi

Main vaani gurbaani azaano mein bhi
Main vedon mein hoon
Main quran mein bhi
Ek dhaam mein kese sama paungi
Main gumbad main hoon
Main minaaron mein bhi

Ae zindagi main hi aliph
Main omkara tumhara
Ae zindagi main hi khudi
Main khudara tumhara
Ik baar aankhen milake bata to
Kya naam hai mera…

Chaand hoon main ya chaand ka tukda
Ya main hoon daag tumhara
Ae zindagi qatra hoon mein
Ya main hoon dariya tumhara
Ae zindagi zarra hoon main
Ya main hoon saara zamaana

Ik taara meera ka
Doha kabeere ka
Ik taara meera ka
Doha kabeere ka
Main khaali pyaala hoon pagle fakire ka
Aaghaaz koi na anjaam hai
Mera toh kaoi bhi nahi naam hai

To kyun tere rakhwaale ghere lagate hain
Rasmon ke pinjre mein qaid karaate hain
Kyun daam dete hain thappa lagaate hain
Mujhse kyun main ki jung karaate hain
Jung karaate hain
Jung karaate hain…

Main behti nadi hoon mujhe rehne do
Main pal pal sadi hoon mujhe rehne do
Dhaara ki tarah main zameeno mein
Main dhool ki tarah
Main hoon asmaano mein

Teri hi beti hoon ae zindagi
Mitaaye mitungi na main do jahano se
Ae zindagi tu hai meri
Main hoon sirhaana tumhara
Ae zindagi ik sach yehi
Baaki hai jhoota fasaana

Ik baar aankhen milaa ke to maano
Nahi koi naam mera
Nahi koi naam mera
Nahi koi naam mera

Naamkaran
Nahi koi naam mera
Naamkaran
Nahi koi naam mera
Naamkaran
Nahi koi naam mera
Naamkaran
Nahi koi naam mera…

More songs lyrics from Naamkarann.