Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka Lyrics

"Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka" lyrics from Pagla Kahin Ka sung by mohammed rafi and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by shamsul huda bihari (s. h. bihari)

Singer(s):

Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka Lyrics


Na ro tu yaha aise pagala kahi ka
Musibat ko apne gale se laga le
Tere gham duniya tujhe de gaye hai
Yaha se waha ruth kar jane wale

Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi

Har kadam par yaha aur har mod par
Gham ki ek dastaa keh rahi har nazar
Keh rahi har nazar
Kitani bechainiya rah ke khamosh bhi
De rahi hai sada bin pukare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi

Pyar jisne kiya usko pagal kaha
Apni duniya mein ye zulm hota raha
Zulm hota raha
Saikado baar ye khel khela gaya
Saikado baar aise nazaare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye

Aise insaan maine dekhe kai
Maut jinke liye zindagi ban gayi
Jinki aaho se hai gungati ye fiza
Jinke aansoo gagan ke sitare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi.

More songs lyrics from Pagla Kahin Ka.