Mushqil Mein Pad Gayi Jaan Lyrics

"Mushqil Mein Pad Gayi Jaan" lyrics from Devar sung by lata mangeshkar, usha mangeshkar and music directed by roshanlal nagrath (roshan) and composed by roshanlal nagrath (roshan) and lyrics written by anand bakshi

Lyricist(s):
Music Director(s):

Mushqil Mein Pad Gayi Jaan Lyrics


Main ne jharokhe se
Kyun jhaanka main kitni nadan
Saamne chhat se dekh
Raha tha mujhko wo beimaan
Main mar gayi mushqil
Mein pad gayi jaan
Haay haay mushqil
Mein pad gayi jaan
Chal gaye nainon
Ke teer kamaan
Main mar gayi mushqil
Mein pad gayi jaan
Haay haay mushqil
Mein pad gayi jaan

Wo roz chhat par
Aane laga aane laga
Haathon se haay dil
Jaane laga jaane laga
Ban ke hawa ka jhonka koyi
Zulfien meri bikhraane laga
Bikhraane laga
Ulfat mein hai dhokhaa
Na ja na ja main ne roka
Par thhehra na dil anjaan
Main mar gayi mushqil
Mein pad gayi jaan
Haay haay mushkil
Mein pad gayi jaan
Chal gaye nainon
Ke teer kamaan
Main mar gayi mushqil
Mein pad gayi jaan

Koshish bahut ki uss ne magar
Uss ne magar milne
Nahin di main ne nazar
Main ne nazar ik
Roz lekin tauba meri
Baithi huyi thi main bekhabar
Main bekhabar
Aise mein wo aake
Meri aankhon mein sama ke
Ban baitha mera mehmaan
Main mar gayi mushqil
Mein pad gayi jaan
Haay haay mushqil
Mein pad gayi jaan
Chal gaye nainon
Ke teer kamaan
Main mar gayi mushqil
Mein pad gayi jaan
Haay haay mushqil
Mein pad gayi jaan.

More songs lyrics from Devar.